Mai durga hu mai kaali hu.


Manshi Shanker



Mai durga hu mai kali hu Tere bete ka ghar v tto mai hi smbhalne wali hu Phir q h mujhe mara jata? Kya ek bar v tera man nai ghabrqta Kya tera hath v nai kapkapata Mai durga hu mai kali hu Tere bete k ghar v tto mai hi smbhalne wali hu Iske bawjood v tu meri chikh ko unsuni kr deta Iss duniya me mujhe na aane deta Jo galti se mai aa v jau, Tto kb kachre k dibbe me tto kb mandir ki chokhat pr mai payi jau Jara mujhe meri galti tto ginwa Kya mai isi layak hu ye tto mujhe bata? Jis shakti ko ho tm pujte mai usi ka tto roop hu Apni Maa ka hi tto mai swaroop hu Mujhme mamta ki chahaya h Phir q nai ye baat koi smjh paya h? Mai durga hu mai kali hu Tere bete k ghar ko v tto mai hi smbhalne wali hu Tere bete or mere sarir ki ek hi tto kaya h Phir v beta or beti ka antar kya koi smjh paya h? Mana wo vansh ko chalata h Pr kya ek ldki k bina wo ye akele kr pata h? Phir v mere aane pr dukh k baadal chate h or uske aate hi ghar ghar mithai bantwaye jate h Sikhayat nai mujhe bete k janamne pr Par aisa agar kehte ho beta bhagya h or beti saubhagya Tto iss bat ko man kr k v tto dikhlao Agli bar beti k aane pr v tto kushiya manao Mai durga hu mai kali hu Tere bete k ghar ko v tto mai hi smbhalne wali hu Manti hu ki beta jindagi bhar sth rehta h or Beti dusre ghar chali jati h Isliye tto wo paraya dhan kehlati h Par in sb k bawjood v bete ki tarah hi wo hmesa TERI hi beti kehlati h Phir v q aksar wo iss duniya me aane se phli maar di jati h? Mere sawalo k jawab ho tto batlana Tb tk khud ko ye smjhana Beta beti ek saman Dono me baste hai bhagwan.

Share Article :




You may also like