ladkian


Priya rajoriya



Ladkian prayi hoti h,
Kya sach mein?
Ladkion ka unke maa baap ki chizon par haq nahi hota,
Kya sach mein???
Agr aesa hai to hm kyu hai iss samaj mein...
Jha paida hote h unpr hi hmara haq nahi h.
Beton ke moh mein maa baap beti ko bhula dena behtar smjhte h.

Kya betion ko haq nahi jinhone paida kia unse dular paane kaa...

Ek sawal or uthta hai aakhir kya karengi pad likh kar jab kam whi chula chauka hi krna hai....
Kya sach mein????

Kher lakh chino tum azadi hmari hm bhi btakar rahenge haa hu mein ladki...
Mera bhi ek wajood h 
sabh kuch sehkr mein kabhi rukti nhi...
Lakh koso tm mjhe mein harti nahi..
Ek din aayega meri aehmiyat har koi karega...
Mein sangarsh karungi.
Par haar nahi manugi...
Haa hu mein ladki.

Share Article :




You may also like